nashat-e-zindagi mein Dub kar aansu nikalte hain
nashat-e-zindagi mein Dub kar aansu nikalte hain
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
nashāt-e-zindagī meñ Duub kar aañsū nikalte haiñ
sunā hai ab tire ġham ke na.e pahlū nikalte haiñ
mohabbat kā chaman hai aao sair-e-sarsarī kar leñ
yahāñ se le ke sab TuuTe hue baazū nikalte haiñ
junūñ le ke chalā hai pā-ba-jaulāñ us ke kūche se
liye āġhosh meñ ham nik.hat-e-gesū nikalte haiñ
tirī bastī meñ dīvānoñ ko rusvā.ī hī raas aa.ī
ye apnā chaak dāman le ke ab har sū nikalte haiñ
vahī aariz vahī kākul vahī kāfir-adā āñkheñ
magar har lamha phir bhī kuchh na.e jaadū nikalte haiñ
nashat-e-zindagi mein Dub kar aansu nikalte hain
suna hai ab tere gham ke nae pahlu nikalte hain
mohabbat ka chaman hai aao sair-e-sarsari kar len
yahan se le ke sab TuTe hue bazu nikalte hain
junun le ke chala hai pa-ba-jaulan us ke kuche se
liye aaghosh mein hum nikhat-e-gesu nikalte hain
teri basti mein diwanon ko ruswai hi ras aai
ye apna chaak daman le ke ab har su nikalte hain
wahi aariz wahi kakul wahi kafir-ada aankhen
magar har lamha phir bhi kuchh nae jadu nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.