nashat usne ajab qurb ki nichhawar ki
nashāt us ne ajab qurb kī nichhāvar kī
khaḌī thī biich meñ dīvār dil ke andar kī
maiñ kirchiyoñ kī chubhan umr bhar sameTūñgā
ki dil ne shīshe pe khaa.ī hai choT patthar kī
hinā.ī shaam dar-o-bām tap se jaate haiñ
kahāñ utārne jā.ūñ thakān din bhar kī
khaḌī huī mire chāroñ taraf haiñ dīvāreñ
nikal ke jaa.e ghuTan kis taraf se andar kī
maiñ jugnuoñ ke ta.āqub meñ sub.h tak bhāgā
nazar meñ phailī rahī tīrgī muqaddar kī
havā ke saath utartī nahīñ nasheboñ meñ
zamīñ se kitnī hai ūñchī satah samundar kī
nashat us ne ajab qurb ki nichhawar ki
khaDi thi bich mein diwar dil ke andar ki
main kirchiyon ki chubhan umr bhar sameTunga
ki dil ne shishe pe khai hai choT patthar ki
hinai sham dar-o-baam tap se jate hain
kahan utarne jaun thakan din bhar ki
khaDi hui mere chaaron taraf hain diwaren
nikal ke jae ghuTan kis taraf se andar ki
main jugnuon ke taaqub mein subh tak bhaga
nazar mein phaili rahi tirgi muqaddar ki
hawa ke sath utarti nahin nashebon mein
zamin se kitni hai unchi satah samundar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.