nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin
nashe meñ huuñ magar ālūda-e-sharāb nahīñ
ḳharāb huuñ magar itnā bhī maiñ ḳharāb nahīñ
kahīñ bhī husn kā chehrā tah-e-naqāb nahīñ
ye apnā dīda-e-dil hai ki be-hijāb nahīñ
vo ik bashar hai koī nūr-e-āftāb nahīñ
maiñ kyā karūñ ki mujhe dekhne kī taab nahīñ
ye jis ne merī nigāhoñ meñ uñgliyāñ bhar diiñ
to phir ye kyā hai agar ye tirā shabāb nahīñ
mire surūr se andāza-e-sharāb na kar
mirā surūr ba-andāza-e-sharāb nahīñ
nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin
KHarab hun magar itna bhi main KHarab nahin
kahin bhi husn ka chehra tah-e-naqab nahin
ye apna dida-e-dil hai ki be-hijab nahin
wo ek bashar hai koi nur-e-aftab nahin
main kya karun ki mujhe dekhne ki tab nahin
ye jis ne meri nigahon mein ungliyan bhar din
to phir ye kya hai agar ye tera shabab nahin
mere surur se andaza-e-sharab na kar
mera surur ba-andaza-e-sharab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.