nasheman us ka phir aabaad hoga
nasheman us kā phir ābād hogā
parinda qaid se āzād hogā
kareñge 'ishq ham ik dūsre se
vazīfa ye tumheñ bhī yaad hogā
mirī taklīf baḌhtī jā rahī hai
mirā dushman yaqīnan shaad hogā
kisī ke dil meñ gar nafrat bharī hai
to vo insān bhī jallād hogā
gunāhoñ se jo bachtā hai yahāñ par
ba-roz-e-hashr bhī vo shaad hogā
mirī ḳhushiyoñ se vo jalne lagā hai
'zafar' phir ġham nayā ījād hogā
nasheman us ka phir aabaad hoga
parinda qaid se aazad hoga
karenge 'ishq hum ek dusre se
wazifa ye tumhein bhi yaad hoga
meri taklif baDhti ja rahi hai
mera dushman yaqinan shad hoga
kisi ke dil mein gar nafrat bhari hai
to wo insan bhi jallad hoga
gunahon se jo bachta hai yahan par
ba-roz-e-hashr bhi wo shad hoga
meri KHushiyon se wo jalne laga hai
'zafar' phir gham naya ijad hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.