nashili aankh mein unki ada kya
nashīlī aañkh meñ un kī adā kyā
vo gar hoñ sāmne to phir nasha kyā
ḳhatā kyā hai mohabbat meñ sazā kyā
yahī miltā hai chāhat kā sila kyā
bahut kam guftugū karne lage ho
tumhārā dil bhī ham se bhar gayā kyā
hameñ barbād kar ke pūchhte ho
hamāre vāste tum ne kiyā kyā
bahut saarā namak thoḌā sā marham
milī hai zaḳhm kī ham ko davā kyā
chhupāne ke liye sau jhuuT apne
na jaane bevafā kartā hai kyā kyā
hameñ ilzām dete jā rahe ho
tavajjoh de rahā hai dūsrā kyā
guzar jā.eñge ye lamhe bhī 'āzī'
ḳhushī ke hoñ yā ġham ke sochnā kyā
nashili aankh mein un ki ada kya
wo gar hon samne to phir nasha kya
KHata kya hai mohabbat mein saza kya
yahi milta hai chahat ka sila kya
bahut kam guftugu karne lage ho
tumhaara dil bhi hum se bhar gaya kya
hamein barbaad kar ke puchhte ho
hamare waste tum ne kiya kya
bahut sara namak thoDa sa marham
mili hai zaKHm ki hum ko dawa kya
chhupane ke liye sau jhuT apne
na jaane bewafa karta hai kya kya
hamein ilzam dete ja rahe ho
tawajjoh de raha hai dusra kya
guzar jaenge ye lamhe bhi 'azi'
KHushi ke hon ya gham ke sochna kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.