nashsha hai teri nigahon mein sharabon ki tarah
nashsha hai terī nigāhoñ meñ sharāboñ kī tarah
log sarshār haiñ be-ḳhud haiñ ḳharāboñ kī tarah
chāñd par chhā.e hue halke se kaale bādal
mujh ko lagte haiñ tire ruḳh pe naqāboñ kī tarah
sāya-e-zulf meñ guzre hue vo shām-o-sahar
aaj bhī yaad haiñ TuuTe hue ḳhvāboñ kī tarah
apne dāman meñ chhupā le mire aañsū koī
ye guhar TuuT bhī jaate haiñ habāboñ kī tarah
ehtiyāt-e-nigah-e-nāz to dekhe koī
mujh pe hotā hai karam bhī to itāboñ kī tarah
jāniyegā ki nahīñ dard-e-mohabbat jin meñ
dil vo be-jān se haiñ TuuTe rabāboñ kī tarah
kaise bhūleñ unheñ duniyā ki vafā ke qisse
jāvedāñ hote haiñ maz.hab kī kitāboñ kī tarah
shaiḳh kis shaan se piite haiñ mai-e-nāb-e-tahūr
phir bhī badnām nahīñ ham se ḳharāboñ kī tarah
aaj bhī pyaar kī rāhoñ meñ bichhaḌ kar tujh se
DhūñDhtā huuñ maiñ tujhe ḳhāna-ḳharāboñ kī tarah
jurm-e-ulfat pe 'zafar' mujh ko nadāmat kyoñ ho
ye vo laġhzish hai jo afzal hai savāboñ kī tarah
nashsha hai teri nigahon mein sharabon ki tarah
log sarshaar hain be-KHud hain KHarabon ki tarah
chand par chhae hue halke se kale baadal
mujh ko lagte hain tere ruKH pe naqabon ki tarah
saya-e-zulf mein guzre hue wo sham-o-sahar
aaj bhi yaad hain TuTe hue KHwabon ki tarah
apne daman mein chhupa le mere aansu koi
ye guhar TuT bhi jate hain hababon ki tarah
ehtiyat-e-nigah-e-naz to dekhe koi
mujh pe hota hai karam bhi to itabon ki tarah
jaaniyega ki nahin dard-e-mohabbat jin mein
dil wo be-jaan se hain TuTe rababon ki tarah
kaise bhulen unhen duniya ki wafa ke qisse
jawedan hote hain mazhab ki kitabon ki tarah
shaiKH kis shan se pite hain mai-e-nab-e-tahur
phir bhi badnam nahin hum se KHarabon ki tarah
aaj bhi pyar ki rahon mein bichhaD kar tujh se
DhunDhta hun main tujhe KHana-KHarabon ki tarah
jurm-e-ulfat pe 'zafar' mujh ko nadamat kyon ho
ye wo laghzish hai jo afzal hai sawabon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.