nashshe mein jo hai kohna sharabon se ziyaada
nashshe meñ jo hai kohna sharāboñ se ziyāda
us jism kī ḳhushbū hai gulāboñ se ziyāda
ik qatra-e-shabnam ko taraste haiñ gulistāñ
ye fasl to mumsik hai sarāboñ se ziyāda
paḌhnā hai to insān ko paḌhne kā hunar siikh
har chehre pe likkhā hai kitāboñ se ziyāda
pahuñchā huuñ vahīñ par ki chalā thā maiñ jahāñ se
hastī kā safar bhī nahīñ ḳhvāboñ se ziyāda
ye bikhrī huī zindagī yakjā nahīñ hotī
kam hone pe bhī ham haiñ ḳharāboñ se ziyāda
'fāriġh' kabhī ghaTtī hī nahīñ dard kī daulat
hotī hai hamesha ye hisāboñ se ziyāda
nashshe mein jo hai kohna sharabon se ziyaada
us jism ki KHushbu hai gulabon se ziyaada
ek qatra-e-shabnam ko taraste hain gulistan
ye fasl to mumsik hai sarabon se ziyaada
paDhna hai to insan ko paDhne ka hunar sikh
har chehre pe likkha hai kitabon se ziyaada
pahuncha hun wahin par ki chala tha main jahan se
hasti ka safar bhi nahin KHwabon se ziyaada
ye bikhri hui zindagi yakja nahin hoti
kam hone pe bhi hum hain KHarabon se ziyaada
'farigh' kabhi ghaTti hi nahin dard ki daulat
hoti hai hamesha ye hisabon se ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.