nashtar-e-gham jo rag-e-jaan mein utar jata hai
nashtar-e-ġham jo rag-e-jāñ meñ utar jaatā hai
aur kuchh hausla-e-shauq nikhar jaatā hai
haal bīmār kā kuchh Thiik nahīñ hai shāyad
jo bhī aatā hai dabe paañv guzar jaatā hai
ehtiyāt un ko sar-e-bazm na mil jaa.e nazar
aur mujhe ġham hai ki nāmūs-e-nazar jaatā hai
rahrav-e-rāh-e-mohabbat kā sahārā hai yahī
ġham jo jaatā hai to sāmān-e-safar jaatā hai
fitna-e-dair ho yā zulf-e-pareshān-e-butāñ
jo bhī ilzām hai dīvāne ke sar jaatā hai
merā afsāna-e-ġham tere taġhāful ke tufail
rang laatā hai nikhartā hai sañvar jaatā hai
us kī mahfil se chale aa.e anā le ke 'shakeb'
dekhiye ab dil-e-ḳhuddār kidhar jaatā hai
nashtar-e-gham jo rag-e-jaan mein utar jata hai
aur kuchh hausla-e-shauq nikhar jata hai
haal bimar ka kuchh Thik nahin hai shayad
jo bhi aata hai dabe panw guzar jata hai
ehtiyat un ko sar-e-bazm na mil jae nazar
aur mujhe gham hai ki namus-e-nazar jata hai
rahraw-e-rah-e-mohabbat ka sahaara hai yahi
gham jo jata hai to saman-e-safar jata hai
fitna-e-dair ho ya zulf-e-pareshan-e-butan
jo bhi ilzam hai diwane ke sar jata hai
mera afsana-e-gham tere taghaful ke tufail
rang lata hai nikharta hai sanwar jata hai
us ki mahfil se chale aae ana le ke 'shakeb'
dekhiye ab dil-e-KHuddar kidhar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.