nashtar ki nok dil mein utare chale gae
nashtar kī nok dil meñ utāre chale ga.e
ham yuuñ urūs-e-ġham ko sañvāre chale ga.e
aaya na haath gosha-e-dāmān-e-iltifāt
lekin faqīr haath pasāre chale ga.e
qaa.em raheñ ba-vasf-e-karam bhī hudūd-e-nāz
dariyā ke saath saath kināre chale ga.e
dil ko tumhīñ ne haath meñ le kar masal diyā
ham sāda-dil tumhīñ ko pukāre chale ga.e
chalnā rah-e-hayāt pe dushvār thā magar
tere matā-e-ġham ke sahāre chale ga.e
aaya tirā ḳhayāl miTe naqsh-e-mā-sivā
ubhrā ufuq se chāñd sitāre chale ga.e
mahfil ko nāgavār thī arz-e-shikast-e-dil
mahfil se uTh ke dard ke maare chale ga.e
haañ ai zamīn-e-gor-e-ġharībāñ javāb de
kyoñ mujh se ruuTh kar mire pyāre chale ga.e
'ābid' zamāna ham ko miTātā chalā gayā
ham naqsh-e-zindagī ko ubhāre chale ga.e
nashtar ki nok dil mein utare chale gae
hum yun urus-e-gham ko sanware chale gae
aaya na hath gosha-e-daman-e-iltifat
lekin faqir hath pasare chale gae
qaem rahen ba-wasf-e-karam bhi hudud-e-naz
dariya ke sath sath kinare chale gae
dil ko tumhin ne hath mein le kar masal diya
hum sada-dil tumhin ko pukare chale gae
chalna rah-e-hayat pe dushwar tha magar
tere mata-e-gham ke sahaare chale gae
aaya tera KHayal miTe naqsh-e-ma-siwa
ubhra ufuq se chand sitare chale gae
mahfil ko nagawar thi arz-e-shikast-e-dil
mahfil se uTh ke dard ke mare chale gae
han ai zamin-e-gor-e-ghariban jawab de
kyon mujh se ruTh kar mere pyare chale gae
'abid' zamana hum ko miTata chala gaya
hum naqsh-e-zindagi ko ubhaare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.