nasib jin ka jahan tha wahin pe utre hain
nasīb jin kā jahāñ thā vahīñ pe utre haiñ
zamīñ ke the jo parinde zamīñ pe utre haiñ
fazā meñ tair rahī hai vafāoñ kī ḳhushbū
zarūr hans ke joḌe kahīñ pe utre haiñ
tumhārī bazm ko dekhā to ye huā mahsūs
ki jaise chāñd sitāre zamīñ pe utre haiñ
mujhe yaqīñ thā parinde bhaTak nahīñ sakte
isī liye jahāñ chāhā vahīñ pe utre haiñ
du'ā.eñ maañ kī abhī ḳhatm bhī na ho pā.īñ
lagā farishte falak se zamīñ pe utre haiñ
azaab aa.e haiñ jitne zamīn-e-ulfat par
karam bhī is se ziyāda yahīñ pe utre haiñ
lagā.eñ shauq se label vo pyaar kā haq hai
agar vo puure diloñ ke yaqīñ pe utre haiñ
nasib jin ka jahan tha wahin pe utre hain
zamin ke the jo parinde zamin pe utre hain
faza mein tair rahi hai wafaon ki KHushbu
zarur hans ke joDe kahin pe utre hain
tumhaari bazm ko dekha to ye hua mahsus
ki jaise chand sitare zamin pe utre hain
mujhe yaqin tha parinde bhaTak nahin sakte
isi liye jahan chaha wahin pe utre hain
du'aen man ki abhi KHatm bhi na ho pain
laga farishte falak se zamin pe utre hain
azab aae hain jitne zamin-e-ulfat par
karam bhi is se ziyaada yahin pe utre hain
lagaen shauq se label wo pyar ka haq hai
agar wo pure dilon ke yaqin pe utre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.