nasibon se koi gar mil gaya hai
nasīboñ se koī gar mil gayā hai
to pahle us pe apnā dil gayā hai
karegā yaad kyā qātil ko apne
taḌaptā yaañ se jo bismil gayā hai
lage haiñ zaḳhm kis kī teġh ke ye
ki jaise phuuT siina khul gayā hai
ḳhudā ke vāste us ko na laao
abhī to yaañ se vo qātil gayā hai
koī majnūñ se Tuk jhūTe hī kah de
ki lailā kā abhī mahmil gayā hai
agar Tuk kī hai ham ne jumbish us ko
pahāḌ apnī jagah se hil gayā hai
koī ai 'mus.hafī' us se ye kah de
duā detā tujhe saa.il gayā hai
nasibon se koi gar mil gaya hai
to pahle us pe apna dil gaya hai
karega yaad kya qatil ko apne
taDapta yan se jo bismil gaya hai
lage hain zaKHm kis ki tegh ke ye
ki jaise phuT sina khul gaya hai
KHuda ke waste us ko na lao
abhi to yan se wo qatil gaya hai
koi majnun se Tuk jhuTe hi kah de
ki laila ka abhi mahmil gaya hai
agar Tuk ki hai hum ne jumbish us ko
pahaD apni jagah se hil gaya hai
koi ai 'mushafi' us se ye kah de
dua deta tujhe sail gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.