nasim-e-ku-e-yar aae na aae
nasīm-e-kū-e-yār aa.e na aa.e
ḳhudā jaane bahār aa.e na aa.e
tasallī aaj to tum de rahe ho
magar kal phir qarār aa.e na aa.e
nazar bhar dekh le tū ai nazar aaj
nazar phir rū-e-yār aa.e na aa.e
lagā le siine se ai dil ki kal kī
ḳhabar kyā us ko pyaar aa.e na aa.e
ḳhabar us ko nahīñ lekin yahāñ maiñ
huuñ mahv-e-intizār aa.e na aa.e
mire bas meñ nahīñ us ko bulānā
hai us ko iḳhtiyār aa.e na aa.e
gulistāñ kī bahāreñ kahtī haiñ aaj
ki kal jān-e-bahār aa.e na aa.e
hamesha jiit ke sehre mile haiñ
gale meñ phir ye haar aa.e na aa.e
dil-e-dīvāna jaldī aur jaldī
ki phir ye daur-e-dār aa.e na aa.e
mirī to ḳhaak ab ban ban uḌegī
tire dil meñ ġhubār aa.e na aa.e
qadam dhīre uThā nādān 'rahbar'
ki phir ye rahguzār aa.e na aa.e
nasim-e-ku-e-yar aae na aae
KHuda jaane bahaar aae na aae
tasalli aaj to tum de rahe ho
magar kal phir qarar aae na aae
nazar bhar dekh le tu ai nazar aaj
nazar phir ru-e-yar aae na aae
laga le sine se ai dil ki kal ki
KHabar kya us ko pyar aae na aae
KHabar us ko nahin lekin yahan main
hun mahw-e-intizar aae na aae
mere bas mein nahin us ko bulana
hai us ko iKHtiyar aae na aae
gulistan ki bahaaren kahti hain aaj
ki kal jaan-e-bahaar aae na aae
hamesha jit ke sehre mile hain
gale mein phir ye haar aae na aae
dil-e-diwana jaldi aur jaldi
ki phir ye daur-e-dar aae na aae
meri to KHak ab ban ban uDegi
tere dil mein ghubar aae na aae
qadam dhire uTha nadan 'rahbar'
ki phir ye rahguzar aae na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.