nasl-e-adam pe wahi jaur-o-sitam aaj bhi hai
nasl-e-ādam pe vahī jaur-o-sitam aaj bhī hai
aur ye tafraqa-e-dair-o-haram aaj bhī hai
bik chukā kab kā musalmān kā īmān ai dost
kaun kahtā hai ki hindū kā dharam aaj bhī hai
ab vo pahlī sī kashish dil meñ kahāñ se lā.ūñ
ye to sach hai ki tirā lutf-e-karam aaj bhī hai
bazm meñ terī har ik shaḳhs hai shādāñ ai dost
phir bhī ik dil hai jo vābasta-e-ġham aaj bhī hai
zehn se laakh guzar jaa.e tirī yaad magar
dil meñ ehsās tire sar kī qasam aaj bhī hai
Thokareñ raah meñ khaa.ī haiñ hazāroñ lekin
rah-rav-e-ishq kā manzil meñ qadam aaj bhī hai
nasl-e-adam pe wahi jaur-o-sitam aaj bhi hai
aur ye tafraqa-e-dair-o-haram aaj bhi hai
bik chuka kab ka musalman ka iman ai dost
kaun kahta hai ki hindu ka dharam aaj bhi hai
ab wo pahli si kashish dil mein kahan se laun
ye to sach hai ki tera lutf-e-karam aaj bhi hai
bazm mein teri har ek shaKHs hai shadan ai dost
phir bhi ek dil hai jo wabasta-e-gham aaj bhi hai
zehn se lakh guzar jae teri yaad magar
dil mein ehsas tere sar ki qasam aaj bhi hai
Thokaren rah mein khai hain hazaron lekin
rah-raw-e-ishq ka manzil mein qadam aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.