nauKHez gulabon ki mahak taza nahin hai
nauḳhez gulāboñ kī mahak taaza nahīñ hai
kaliyoñ ke chaTaḳhne kā bhī āvāza nahīñ hai
ham vaqt kī lahroñ meñ kahīñ Duub chuke haiñ
sāhil pe magar lāshoñ kā ḳhamyāza nahīñ hai
gumbad meñ hī uḌtā hai mirī soch kā panchhī
zindān-e-badan meñ koī darvāza nahīñ hai
būḌhe ne hathelī pe falak dekh liyā hai
bachchoñ ko kisī baat kā andāza nahīñ hai
surḳhāb ke par zehn meñ be-rang paḌe haiñ
chehre pe ḳhushī kā bhī koī ġhāza nahīñ hai
andar ḳhas-o-ḳhāshāk ne kohrām uThāyā
bāhar se bikhartā mirā shīrāza nahīñ hai
nauKHez gulabon ki mahak taza nahin hai
kaliyon ke chaTaKHne ka bhi aawaza nahin hai
hum waqt ki lahron mein kahin Dub chuke hain
sahil pe magar lashon ka KHamyaza nahin hai
gumbad mein hi uDta hai meri soch ka panchhi
zindan-e-badan mein koi darwaza nahin hai
buDhe ne hatheli pe falak dekh liya hai
bachchon ko kisi baat ka andaza nahin hai
surKHab ke par zehn mein be-rang paDe hain
chehre pe KHushi ka bhi koi ghaza nahin hai
andar KHas-o-KHashak ne kohram uThaya
bahar se bikharta mera shiraaza nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.