naumid-e-karam ho kar mayus-e-dua ho kar
naumīd-e-karam ho kar māyūs-e-duā ho kar
ham baiTh ga.e āḳhir rāzī-ba-razā ho kar
in band guphāoñ se kyoñ ham ko lagāo hai
jin band guphāoñ se aa.e haiñ rihā ho kar
chhūte hī mirā chehra nam kar ga.ī āñkhoñ ko
yādoñ ke samundar se aa.ī thī havā ho kar
kyoñ TūTte rishtoñ par ashk aa ga.e āñkhoñ meñ
hone do agar koī jaatā hai ḳhafā ho kar
tū ne mujhe aise bhī din-rāt dikhā.e haiñ
rah jaatī hai jab duniyā bas ek ḳhalā ho kar
achchhe rahe jo pal pal mausam kī tarah badle
kyā pā liyā ham ne bhī pāband-e-vafā ho kar
dushman pe 'shabāb' apne kyoñ mujh ko na raham aa.e
gaalī mujhe dushman kī lagtī hai duā ho kar
naumid-e-karam ho kar mayus-e-dua ho kar
hum baiTh gae aaKHir raazi-ba-raza ho kar
in band guphaon se kyon hum ko lagao hai
jin band guphaon se aae hain riha ho kar
chhute hi mera chehra nam kar gai aankhon ko
yaadon ke samundar se aai thi hawa ho kar
kyon TuTte rishton par ashk aa gae aankhon mein
hone do agar koi jata hai KHafa ho kar
tu ne mujhe aise bhi din-raat dikhae hain
rah jati hai jab duniya bas ek KHala ho kar
achchhe rahe jo pal pal mausam ki tarah badle
kya pa liya hum ne bhi paband-e-wafa ho kar
dushman pe 'shabab' apne kyon mujh ko na raham aae
gali mujhe dushman ki lagti hai dua ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.