naya dil naya hausla chahta hun
nayā dil nayā hausla chāhtā huuñ
har ik gaam shauq-āshnā chāhtā huuñ
na manzil na us kā patā chāhtā huuñ
faqat aap kā naqsh-e-pā chāhtā huuñ
vafāoñ ke badle vafā chāhtā huuñ
mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
jo zauq-e-junūñ aam kar de jahāñ meñ
maiñ vo naġhma-e-jāñ-fazā chāhtā huuñ
milā de jo aapas meñ logoñ ke dil ko
vatan meñ vo āb-o-havā chāhtā huuñ
jo uTh kar baras jaa.e dair-o-haram par
fazāoñ meñ aisī ghaTā chāhtā huuñ
har ik rind ke haath meñ jām-e-jam ho
kuchh is shaan kā mai-kada chāhtā huuñ
gul-o-lāla sehn-e-chaman meñ khilā kar
bahāroñ ke hāthoñ luTā chāhtā huuñ
naya dil naya hausla chahta hun
har ek gam shauq-ashna chahta hun
na manzil na us ka pata chahta hun
faqat aap ka naqsh-e-pa chahta hun
wafaon ke badle wafa chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
jo zauq-e-junun aam kar de jahan mein
main wo naghma-e-jaan-faza chahta hun
mila de jo aapas mein logon ke dil ko
watan mein wo aab-o-hawa chahta hun
jo uTh kar baras jae dair-o-haram par
fazaon mein aisi ghaTa chahta hun
har ek rind ke hath mein jam-e-jam ho
kuchh is shan ka mai-kada chahta hun
gul-o-lala sehn-e-chaman mein khila kar
bahaaron ke hathon luTa chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.