naya kuchh kar dikhane ka irada Tut jata hai
nayā kuchh kar dikhāne kā irāda Tuut jaatā hai
kisī bachche ke hāthoñ jab khilaunā Tuut jaatā hai
tahammul 'ain vājib hai mohabbat kī sharī'at meñ
agar iftār jaldī ho to roza Tuut jaatā hai
tire mere milan kā ḳhvāb nāzuk aa.ina sā hai
lage āvāz kā patthar to sapnā Tuut jaatā hai
kahāñ Thokar samajhtī hai kisī būḌhe kī lāchārī
vo jab lāThī bachātā hai to chashma Tuut jaatā hai
haqīqat zindagī kī pūchhtā huuñ jab bhī gulshan se
to fauran peḌ kī Tahnī se pattā Tuut jaatā hai
tujhe yaksar bhulāne kā tujhe dil se miTāne kā
irāda jab bhī kartā huuñ irāda Tuut jaatā hai
ye ik beTī samajhtī hai ki us kā ghar basāne ko
mirā būḌhā pidar andar se kitnā Tuut jaatā hai
zamāne-bhar meñ mat tū ghuum le kar zo'm kī chābī
zarā narmī se ye nafrat kā taalā Tuut jaatā hai
javāñ beTe kā lāsha baap jab koī uThātā hai
bhale faulād kā ho phir bhī kāñdhā Tuut jaatā hai
naya kuchh kar dikhane ka irada Tut jata hai
kisi bachche ke hathon jab khilauna Tut jata hai
tahammul 'ain wajib hai mohabbat ki shari'at mein
agar iftar jaldi ho to roza Tut jata hai
tere mere milan ka KHwab nazuk aaina sa hai
lage aawaz ka patthar to sapna Tut jata hai
kahan Thokar samajhti hai kisi buDhe ki lachaari
wo jab laThi bachata hai to chashma Tut jata hai
haqiqat zindagi ki puchhta hun jab bhi gulshan se
to fauran peD ki Tahni se patta Tut jata hai
tujhe yaksar bhulane ka tujhe dil se miTane ka
irada jab bhi karta hun irada Tut jata hai
ye ek beTi samajhti hai ki us ka ghar basane ko
mera buDha pidar andar se kitna Tut jata hai
zamane-bhar mein mat tu ghum le kar zo'm ki chabi
zara narmi se ye nafrat ka tala Tut jata hai
jawan beTe ka lasha bap jab koi uThata hai
bhale faulad ka ho phir bhi kandha Tut jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.