naya mausam dar aaya dasht mein barg-o-samar jage
naya mausam dar aaya dasht mein barg-o-samar jage
Javed Akhtar Bedi
MORE BYJaved Akhtar Bedi
nayā mausam dar aayā dasht meñ barg-o-samar jaage
zamānoñ se jo mahv-e-ḳhvāb the qalb-o-nazar jaage
na.e harfoñ ke phūloñ ko sajāyā vaqt ne lab par
na.e harfoñ ke phūloñ meñ na.e kaif-o-asar jaage
vo daur aayā sadā zulm-o-sitam ke bhī ḳhilāf uTThī
hamārī aur tirī duniyā ke arbāb-e-hunar jaage
qayāmat kūcha-o-bāzār meñ yūñhī nahīñ aa.ī
ham apne shahr meñ pahle pas-e-dīvār-o-dar jaage
sivā.e tīrgī hadd-e-nazar tak kuchh na thā 'bedī'
ye ḳhvāhish thī ki sīnoñ meñ tamannā-e-sahar jaage
naya mausam dar aaya dasht mein barg-o-samar jage
zamanon se jo mahw-e-KHwab the qalb-o-nazar jage
nae harfon ke phulon ko sajaya waqt ne lab par
nae harfon ke phulon mein nae kaif-o-asar jage
wo daur aaya sada zulm-o-sitam ke bhi KHilaf uTThi
hamari aur teri duniya ke arbab-e-hunar jage
qayamat kucha-o-bazar mein yunhi nahin aai
hum apne shahr mein pahle pas-e-diwar-o-dar jage
siwae tirgi hadd-e-nazar tak kuchh na tha 'bedi'
ye KHwahish thi ki sinon mein tamanna-e-sahar jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.