naya mausam hai thoDi si KHushi de
nayā mausam hai thoḌī sī ḳhushī de
mire hisse meñ jitnī hai hañsī de
maiñ apne ghar ke darvāze pe pahuñchūñ
mirī āñkhoñ ko itnī raushnī de
ḳhalāoñ meñ bhaTaktā phir rahā huuñ
maiñ samjhūñ ḳhud ko itnī āgahī de
mirā mansab to hai masnad-nashīnī
mujhe ġham de ki chāhe tū ḳhushī de
na ho sharminda vo bād-e-sabā se
tū in phūloñ ko aisī tāzgī de
ulajh jaatā hai vo har ik se 'nashtar'
mire mālik use sanjīdgī de
naya mausam hai thoDi si KHushi de
mere hisse mein jitni hai hansi de
main apne ghar ke darwaze pe pahunchun
meri aankhon ko itni raushni de
KHalaon mein bhaTakta phir raha hun
main samjhun KHud ko itni aagahi de
mera mansab to hai masnad-nashini
mujhe gham de ki chahe tu KHushi de
na ho sharminda wo baad-e-saba se
tu in phulon ko aisi tazgi de
ulajh jata hai wo har ek se 'nashtar'
mere malik use sanjidgi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.