naya suKHan nae tarz-e-suKHan mein rakh diya hai
nayā suḳhan na.e tarz-e-suḳhan meñ rakh diyā hai
jo be-vatan the unheñ bhī vatan meñ rakh diyā hai
hamārī āñkhoñ kī lazzat kā dhyān rakhte hue
kisī kā aks kisī ke badan meñ rakh diyā hai
maiñ jis ḳhushī ke ta.āqub meñ thā usī ne mujhe
udāsiyoñ ke na.e pairahan meñ rakh diyā hai
vo rang jis pe chhiḌaktī hai jaan har titlī
mire ḳhudā ne mire ācharan meñ rakh diyā hai
sabhī ne apnī siyāsat ke ḳhvāb kā malba
hamārī āñkhoñ ke sansad bhavan meñ rakh diyā hai
laboñ se apne tabassum nichoḌ kar us ne
ka.ī guloñ ko alag bāñkpan meñ rakh diyā hai
naya suKHan nae tarz-e-suKHan mein rakh diya hai
jo be-watan the unhen bhi watan mein rakh diya hai
hamari aankhon ki lazzat ka dhyan rakhte hue
kisi ka aks kisi ke badan mein rakh diya hai
main jis KHushi ke taaqub mein tha usi ne mujhe
udasiyon ke nae pairahan mein rakh diya hai
wo rang jis pe chhiDakti hai jaan har titli
mere KHuda ne mere aacharan mein rakh diya hai
sabhi ne apni siyasat ke KHwab ka malba
hamari aankhon ke sansad bhawan mein rakh diya hai
labon se apne tabassum nichoD kar us ne
kai gulon ko alag bankpan mein rakh diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.