naza.a meñ vo mire pahlū se ga.e dil kī tarah
maiñ taḌaptā hī rahā farsh pe bismil kī tarah
ek pahlū meñ rahe dil mirā bismil kī tarah
ek pahlū meñ raheñ aap mire dil kī tarah
kuchh agar jazb-e-mohabbat kā asar ho jaa.e
tum bhī betāb ho pahlū meñ mire dil kī tarah
kabhī sīdhe na hue yaar ke tevar mujh se
bal na abrū se gayā ḳhanjar-e-qātil kī tarah
un ke abrū kā ishāra ye hai har āshiq se
sar-nigūñ rahtā huuñ maiñ ḳhanjar-e-qātil kī tarah
ḳhuun pī kar lab-e-sofār ye kahtā hai mirā
surḳh-rū rahtā huuñ maiñ ḳhanjar-e-qātil kī tarah
o kamāñ-dār tirā tīr-e-nazar khāyā hai
dil phaḌaktā hai mirā tā.ir-e-bismil kī tarah
sārbāñ najd meñ ḳhālī jo nazar aa.ī use
dil-e-majnūñ tah-o-bālā huā mahmil kī tarah
āshiqoñ meñ tire ai mah na hameñ kyoñ ho faroġh
daaġh dil meñ hai hamāre mah-e-kāmil kī tarah
hal kiyā uqda-e-lā-hal ko baḌī hikmat se
tum ne kholī hai girah dil kī anāmil kī tarah
kārvāñ ko mire kyūñkar ho ḳhabar ġhurbat meñ
dūr-uftāda huuñ gard-e-rah-e-manzil kī tarah
pāsbānoñ kī tarah shab ko jo kartā huuñ fuġhāñ
dost rakhte haiñ mujhe sab sag-e-manzil kī tarah
hai yam-e-ashk hī se un kī baqā aur fanā
āñkheñ merī haiñ habāb-e-lab-e-sāhil kī tarah
ġhuncha mere dil-e-basta kā jo khil jaatā hai
chahchahe baaġh meñ kartā huuñ anādil kī tarah
be-qarārī shab-e-furqat kī na pūchho mujh se
barq-o-sīmāb bhī taḌpe na mire dil kī tarah
haath aa.e jo tire tiir kā paikāñ mujh ko
apne siine meñ rakhūñ maiñ jigar-o-dil kī tarah
mahfil-e-aish-o-tarab se bhī nikālā mujh ko
kaf-e-afsos malūñ kyoñ na jalājil kī tarah
qais kahtā thā kahūñ kyoñ na anā lailā maiñ
yaad dil meñ hai mirī sāhib-e-mahmil kī tarah
zoraq-e-umr baḌhī rāh-e-ḳhudā meñ de kar
naav ḳhushkī meñ chalī kashtī-e-sā.il kī tarah
qatl ai yaar karegī ye tavāzo terī
jhuk ke miltā hai gale ḳhanjar-e-qātil kī tarah
ujḌe pahlū ko mire kījiye ābād huzūr
bevafā aap na ho jaa.eñ mire dil kī tarah
ye to āsān hai 'fāḳhir' ho zamīñ kaisī hī saḳht
kahne vaale ko nahīñ koī bhī mushkil kī tarah
naza mein wo mere pahlu se gae dil ki tarah
main taDapta hi raha farsh pe bismil ki tarah
ek pahlu mein rahe dil mera bismil ki tarah
ek pahlu mein rahen aap mere dil ki tarah
kuchh agar jazb-e-mohabbat ka asar ho jae
tum bhi betab ho pahlu mein mere dil ki tarah
kabhi sidhe na hue yar ke tewar mujh se
bal na abru se gaya KHanjar-e-qatil ki tarah
un ke abru ka ishaara ye hai har aashiq se
sar-nigun rahta hun main KHanjar-e-qatil ki tarah
KHun pi kar lab-e-sofar ye kahta hai mera
surKH-ru rahta hun main KHanjar-e-qatil ki tarah
o kaman-dar tera tir-e-nazar khaya hai
dil phaDakta hai mera tair-e-bismil ki tarah
sarban najd mein KHali jo nazar aai use
dil-e-majnun tah-o-baala hua mahmil ki tarah
aashiqon mein tere ai mah na hamein kyon ho farogh
dagh dil mein hai hamare mah-e-kaamil ki tarah
hal kiya uqda-e-la-hal ko baDi hikmat se
tum ne kholi hai girah dil ki anamil ki tarah
karwan ko mere kyunkar ho KHabar ghurbat mein
dur-uftada hun gard-e-rah-e-manzil ki tarah
pasbanon ki tarah shab ko jo karta hun fughan
dost rakhte hain mujhe sab sag-e-manzil ki tarah
hai yam-e-ashk hi se un ki baqa aur fana
aankhen meri hain habab-e-lab-e-sahil ki tarah
ghuncha mere dil-e-basta ka jo khil jata hai
chahchahe bagh mein karta hun anadil ki tarah
be-qarari shab-e-furqat ki na puchho mujh se
barq-o-simab bhi taDpe na mere dil ki tarah
hath aae jo tere tir ka paikan mujh ko
apne sine mein rakhun main jigar-o-dil ki tarah
mahfil-e-aish-o-tarab se bhi nikala mujh ko
kaf-e-afsos malun kyon na jalajil ki tarah
qais kahta tha kahun kyon na ana laila main
yaad dil mein hai meri sahib-e-mahmil ki tarah
zoraq-e-umr baDhi rah-e-KHuda mein de kar
naw KHushki mein chali kashti-e-sail ki tarah
qatl ai yar karegi ye tawazo teri
jhuk ke milta hai gale KHanjar-e-qatil ki tarah
ujDe pahlu ko mere kijiye aabaad huzur
bewafa aap na ho jaen mere dil ki tarah
ye to aasan hai 'faKHir' ho zamin kaisi hi saKHt
kahne wale ko nahin koi bhi mushkil ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.