nazakat dekhiye us sim-tan ki
nazākat dekhiye us sīm-tan kī
uThā letī hai gaThrī tiin man kī
talab hai koī daulat kī na dhan kī
mujhe bas pyaar se kah de vo Donkey
huā huuñ mādar-e-lailā pe āshiq
mujhe pāgal kaho dīvāna sankī
ran out ho gayā iksaTh pe lekin
zarūrat thī abhī bāsaThveñ ran kī
lage haiñ kaan bahroñ ke bhī bajne
zarā chūḌī kahīñ par bhī jo khankī
kafan-choroñ kī Tolī aa ga.ī hai
ilāhī ḳhair ho mere kafan kī
garebāñ kyā pajāma phaaḌ Daalā
koī had bhī hai is dīvāna-pan kī
pipāḌī pyaar kī 'muḳhtār' chhoḌo
ki Daflī baj rahī hai makr-o-fan kī
nazakat dekhiye us sim-tan ki
uTha leti hai gaThri tin man ki
talab hai koi daulat ki na dhan ki
mujhe bas pyar se kah de wo Donkey
hua hun madar-e-laila pe aashiq
mujhe pagal kaho diwana sanki
ran out ho gaya iksaTh pe lekin
zarurat thi abhi basaThwen ran ki
lage hain kan bahron ke bhi bajne
zara chuDi kahin par bhi jo khanki
kafan-choron ki Toli aa gai hai
ilahi KHair ho mere kafan ki
gareban kya pajama phaD Dala
koi had bhi hai is diwana-pan ki
pipaDi pyar ki 'muKHtar' chhoDo
ki Dafli baj rahi hai makr-o-fan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.