nazara kar but-e-pur-fan hamara
nazāra kar but-e-pur-fan hamārā
ki tan dāġhoñ se hai gulshan hamārā
hai ishq-e-zulf meñ ḳhāna-badoshī
kaheñ kyā hai kahāñ maskan hamārā
jo ro.e yād-e-dandān-e-sanam meñ
to pur-gauhar huā dāman hamārā
butoñ kī saḳhtiyāñ sahne ko yā-rab
banāyā kyoñ na dil aahan hamārā
hamārī ye vasiyyat hai dam-e-marg
ki kū-e-yār ho madfan hamārā
javānī meñ mohabbat kī lagī aag
jalā kis vaqt meñ ḳhirman hamārā
zamīn-o-āsmāñ tharrā rahe haiñ
sadā-e-sūr hai shevan hamārā
ik āhū-chashm kī ulfat meñ 'sābir'
bayābāñ ho gayā maskan hamārā
nazara kar but-e-pur-fan hamara
ki tan daghon se hai gulshan hamara
hai ishq-e-zulf mein KHana-badoshi
kahen kya hai kahan maskan hamara
jo roe yaad-e-dandan-e-sanam mein
to pur-gauhar hua daman hamara
buton ki saKHtiyan sahne ko ya-rab
banaya kyon na dil aahan hamara
hamari ye wasiyyat hai dam-e-marg
ki ku-e-yar ho madfan hamara
jawani mein mohabbat ki lagi aag
jala kis waqt mein KHirman hamara
zamin-o-asman tharra rahe hain
sada-e-sur hai shewan hamara
ek aahu-chashm ki ulfat mein 'sabir'
bayaban ho gaya maskan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.