nazare ke qabil nazar ho to le
nazāre ke qābil nazar ho to le
nazar ko ḳhud apnī ḳhabar ho to le
añdhere ujāle guzar ho to le
shab-e-tīra-sāmāñ basar ho to le
abhī nā-rasā.ī pe kyoñ guftugū
duāoñ meñ paidā asar ho to le
nazar vāsil-e-nūr ho jā.egī
sazā-vār-e-ḳhvāb-e-sahar ho to le
nazāre kā imkāñ bhī mushkil nahīñ
shu.ūr-e-nazar mo'atabar ho to le
bahar-kaif dil dil se mil jā.egā
nazar ke muqābil nazar ho to le
chale ā.eñge log pursish ko bhī
zarā haal be-hāl-tar ho to le
tajassus kī rāheñ bhī khul jā.eñgī
junūñ aql kā rāhbar ho to le
mohabbat ke qābil bhī hoñge 'rishī'
dayār-e-vafā se guzar ho to le
nazare ke qabil nazar ho to le
nazar ko KHud apni KHabar ho to le
andhere ujale guzar ho to le
shab-e-tira-saman basar ho to le
abhi na-rasai pe kyon guftugu
duaon mein paida asar ho to le
nazar wasil-e-nur ho jaegi
saza-war-e-KHwab-e-sahar ho to le
nazare ka imkan bhi mushkil nahin
shuur-e-nazar mo'atabar ho to le
bahar-kaif dil dil se mil jaega
nazar ke muqabil nazar ho to le
chale aaenge log pursish ko bhi
zara haal be-haal-tar ho to le
tajassus ki rahen bhi khul jaengi
junun aql ka rahbar ho to le
mohabbat ke qabil bhi honge 'rishi'
dayar-e-wafa se guzar ho to le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.