nazar aa jate the do chaar kahin basti mein
nazar aa jaate the do chaar kahīñ bastī meñ
ab to koī bhī nahīñ ḳhāk-nashīñ bastī meñ
kaise ḳhushiyoñ ko uḌā le ga.ī mahloñ kī talab
kitne ḳhush-bāsh the ham tere qarīñ bastī meñ
us ne darvāze ko andar se lagā lī kunDī
maiñ ne pūchhā vo jo hote the makīñ bastī meñ
in makānoñ meñ makāñ hai vo jo kone vaalā
ek rahtī thī vahāñ zohra-jabīñ bastī meñ
is ko kahte haiñ tamaddun ye hai tahzīb-e-qadīm
mil ke rahte the sabhī apne ta.iiñ bastī meñ
chalte phirte hue qadmoñ kī dhamak baaqī hai
saañs letā hai koī zer-e-zamīñ bastī meñ
ab 'zahūr' aa.ī samajh kis se thī raunaq varna
saare maujūd haiñ ik ham hī nahīñ bastī meñ
nazar aa jate the do chaar kahin basti mein
ab to koi bhi nahin KHak-nashin basti mein
kaise KHushiyon ko uDa le gai mahlon ki talab
kitne KHush-bash the hum tere qarin basti mein
us ne darwaze ko andar se laga li kunDi
main ne puchha wo jo hote the makin basti mein
in makanon mein makan hai wo jo kone wala
ek rahti thi wahan zohra-jabin basti mein
is ko kahte hain tamaddun ye hai tahzib-e-qadim
mil ke rahte the sabhi apne tain basti mein
chalte phirte hue qadmon ki dhamak baqi hai
sans leta hai koi zer-e-zamin basti mein
ab 'zahur' aai samajh kis se thi raunaq warna
sare maujud hain ek hum hi nahin basti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.