nazar aae kya ghubar mah-o-kahkashan se aage
nazar aa.e kyā ġhubār mah-o-kahkashāñ se aage
koī kārvāñ hai shāyad mire kārvāñ se aage
koī sar ho sarf-e-sajda kahāñ aaj be-irāda
ki zamīñ hī be-kashish hai tire āstāñ se aage
tirī yaad dastgīr-e-dil-e-ġham-zadā huī hai
mujhe saath le chalī hai ġham-e-do-jahāñ se aage
ye jahāñ ba-nām-e-jannat kahīñ phir na pesh aa.e
vahī qasr-o-bāġh jo haiñ mah-o-kahkashāñ se aage
tire gesuoñ kī ḳhushbū ye payām de ga.ī hai
ki nashāt-bār saa.e haiñ ġham-e-tapāñ se aage
kaheñ kis se ho ga.ī hai yahīñ aa ke ḳhatm duniyā
ki nahīñ hai koī manzil haram-e-butāñ se aage
kaTī ek umr-e-furqat sar-e-barzaḳh-e-mohabbat
ki chalā na jā rahā thā dil-e-nā-tavāñ se aage
vahīñ dā.imī ḳhushī ke haiñ chhupe hue ḳhazāne
jo pahāḌī silsila hai yam-e-be-karāñ se aage
his-e-bāsira ko 'mānī' jo samī.a-e-kaif kar de
vo suḳhan-tarāz nargis hai kahīñ zabāñ se aage
nazar aae kya ghubar mah-o-kahkashan se aage
koi karwan hai shayad mere karwan se aage
koi sar ho sarf-e-sajda kahan aaj be-irada
ki zamin hi be-kashish hai tere aastan se aage
teri yaad dastgir-e-dil-e-gham-zada hui hai
mujhe sath le chali hai gham-e-do-jahan se aage
ye jahan ba-nam-e-jannat kahin phir na pesh aae
wahi qasr-o-bagh jo hain mah-o-kahkashan se aage
tere gesuon ki KHushbu ye payam de gai hai
ki nashat-bar sae hain gham-e-tapan se aage
kahen kis se ho gai hai yahin aa ke KHatm duniya
ki nahin hai koi manzil haram-e-butan se aage
kaTi ek umr-e-furqat sar-e-barzaKH-e-mohabbat
ki chala na ja raha tha dil-e-na-tawan se aage
wahin daimi KHushi ke hain chhupe hue KHazane
jo pahaDi silsila hai yam-e-be-karan se aage
his-e-basira ko 'mani' jo samia-e-kaif kar de
wo suKHan-taraaz nargis hai kahin zaban se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.