nazar aae nazar walon ko manzar kuchh alag sa
nazar aae nazar walon ko manzar kuchh alag sa
Syed Masroor Jauhar
MORE BYSyed Masroor Jauhar
nazar aa.e nazar vāloñ ko manzar kuchh alag sā
uThā tūfān ai sākit samundar kuchh alag sā
jo paayā hotā maiñ ne bhī muqaddar kuchh alag sā
banātā maiñ bhī shahr-e-ishq meñ ghar kuchh alag sā
maiñ fasl-e-gul se begāna magar mujh ko yaqīñ hai
khilegā phuul ik din mere lab par kuchh alag sā
vo dekho ḳhīrgī āñkhoñ kī chuġhlī khā rahī hai
ujālā hai shabistānoñ ke andar kuchh alag sā
ḳhayāl-e-vasl kī behad munavvar sā.atoñ meñ
nazar aatā hai vo mahtāb-paikar kuchh alag sā
maiñ un ujle dinoñ kā muntazir huuñ jaane kab se
samāñ bāñdheñge jab mehrāb-o-mimbar kuchh alag sā
use hairat se shāyad dekhte haiñ aa.ine yuuñ
hai us kā aks ā.īnoñ ke andar kuchh alag sā
hai terī yaad ke rastoñ pe chalnā kitnā bhārī
rakhā ho bojh jaise mere sar par kuchh alag sā
agar vā rakkhī jauhar aap ne chashm-e-basīrat
dikhā.ī degā har saa.e meñ paikar kuchh alag sā
nazar aae nazar walon ko manzar kuchh alag sa
uTha tufan ai sakit samundar kuchh alag sa
jo paya hota main ne bhi muqaddar kuchh alag sa
banata main bhi shahr-e-ishq mein ghar kuchh alag sa
main fasl-e-gul se begana magar mujh ko yaqin hai
khilega phul ek din mere lab par kuchh alag sa
wo dekho KHirgi aankhon ki chughli kha rahi hai
ujala hai shabistanon ke andar kuchh alag sa
KHayal-e-wasl ki behad munawwar saaton mein
nazar aata hai wo mahtab-paikar kuchh alag sa
main un ujle dinon ka muntazir hun jaane kab se
saman bandhenge jab mehrab-o-mimbar kuchh alag sa
use hairat se shayad dekhte hain aaine yun
hai us ka aks aainon ke andar kuchh alag sa
hai teri yaad ke raston pe chalna kitna bhaari
rakha ho bojh jaise mere sar par kuchh alag sa
agar wa rakkhi jauhar aap ne chashm-e-basirat
dikhai dega har sae mein paikar kuchh alag sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.