nazar aaen kya mere paikar mein aankhen
nazar aa.eñ kyā mere paikar meñ āñkheñ
dabī rah ga.iiñ ġham ke bistar meñ āñkheñ
tumhārī nigāhoñ maiñ jhāñkā hai maiñ ne
ki Duubī huī haiñ samundar meñ āñkheñ
tumheñ DhūñD lenā to mushkil nahīñ thā
agar hotīñ mere muqaddar meñ āñkheñ
ye kyā raaz hai tū hī samjhā de saaqī
haiñ āñkhoñ meñ sāġhar ki sāġhar meñ āñkheñ
hue ġharq aise ki paayā hai ḳhud ko
khulī haiñ hamārī samundar meñ āñkheñ
ḳhudā ke liye yaad rakhnā vo va.ada
tumheñ DhūñDhtī hoñgī mahshar meñ āñkheñ
jalāne ke asbāb haiñ donoñ jānib
tere ghar meñ sham.eñ mire ghar meñ āñkheñ
kisī but se tum pyaar karke to dekho
nazar ā.eñgī 'nūr' patthar meñ āñkheñ
nazar aaen kya mere paikar mein aankhen
dabi rah gain gham ke bistar mein aankhen
tumhaari nigahon main jhanka hai main ne
ki Dubi hui hain samundar mein aankhen
tumhein DhunD lena to mushkil nahin tha
agar hotin mere muqaddar mein aankhen
ye kya raaz hai tu hi samjha de saqi
hain aankhon mein saghar ki saghar mein aankhen
hue gharq aise ki paya hai KHud ko
khuli hain hamari samundar mein aankhen
KHuda ke liye yaad rakhna wo wada
tumhein DhunDhti hongi mahshar mein aankhen
jalane ke asbab hain donon jaanib
tere ghar mein shamen mere ghar mein aankhen
kisi but se tum pyar karke to dekho
nazar aaengi 'nur' patthar mein aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.