nazar aalam ki ban jae wo hoga kab bashar paida
nazar aalam kī ban jaa.e vo hogā kab bashar paidā
baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā
qusūr apnā hī thā jo us sitamgar kī tamanna kī
na hotī ye ḳhalish dil meñ na hotā ye sharar paidā
ruḳh-e-raushan pe zulfoñ kā ye lahrānā ye uḌ jaanā
mirī duniyā-e-dil meñ karte haiñ shām-o-sahar paidā
asīrān-e-qafas māyūs hone kī zarūrat kyā
agar hoñ hausle dil meñ to hoñge bāl-o-par paidā
dar-e-parvāna pe ḳhud sham.a khiñch ke aa hī jā.egī
agar ho jazb-e-dil apnā to phir kuchh ho asar paidā
nazar aalam ki ban jae wo hoga kab bashar paida
baDi mushkil se hota hai chaman mein dida-war paida
qusur apna hi tha jo us sitamgar ki tamanna ki
na hoti ye KHalish dil mein na hota ye sharar paida
ruKH-e-raushan pe zulfon ka ye lahrana ye uD jaana
meri duniya-e-dil mein karte hain sham-o-sahar paida
asiran-e-qafas mayus hone ki zarurat kya
agar hon hausle dil mein to honge baal-o-par paida
dar-e-parwana pe KHud shama khinch ke aa hi jaegi
agar ho jazb-e-dil apna to phir kuchh ho asar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.