nazar aata hai yun to har qadam par rahbar mujhko
nazar aatā hai yuuñ to har qadam par rāhbar mujh ko
magar kuchh yaad aa jaatā hai us ko dekh kar mujh ko
chaman vaale abhī baiTheñ na hargiz mutma.in ho kar
nazar aatā hai gulshan meñ abhī raqs-e-sharar mujh ko
hazāroñ manzileñ haiñ mere qadmoñ ke tale pinhāñ
samajhtā hai zamāna kyoñ ġhubār-e-rahguzar mujh ko
balā se aag barse yā bagūle raqs-farmā hoñ
na Dartā huuñ maiñ bijlī se na hai ḳhauf-e-sharar mujh ko
simaTtī jā rahī hai shab shafaq ke surḳh āñchal meñ
sitāre sub.h ke dete haiñ paiġhām-e-sahar mujh ko
nazar aata hai yun to har qadam par rahbar mujh ko
magar kuchh yaad aa jata hai us ko dekh kar mujh ko
chaman wale abhi baiThen na hargiz mutmain ho kar
nazar aata hai gulshan mein abhi raqs-e-sharar mujh ko
hazaron manzilen hain mere qadmon ke tale pinhan
samajhta hai zamana kyon ghubar-e-rahguzar mujh ko
bala se aag barse ya bagule raqs-farma hon
na Darta hun main bijli se na hai KHauf-e-sharar mujh ko
simaTti ja rahi hai shab shafaq ke surKH aanchal mein
sitare subh ke dete hain paigham-e-sahar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.