nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang
nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang
Shaheer Machlishahri
MORE BYShaheer Machlishahri
nazar aatā nahīñ kuchh sub.h ke āsār kā rang
zulmat-e-gor se bad-tar hai shab-e-tār kā rang
uḌ gayā zo.af-e-maraz se ruḳh-e-bīmār kā rang
de do thoḌā sā tum apne gul-e-ruḳhsār kā rang
hashr meñ rahmat-e-dāvar ne jo nazreñ Dālīñ
ho gayā surḳh vahīñ rū-e-gunahgār kā rang
fasl-e-mai aane do phir hai ye hamārā zimma
ho gulābī na agar shaiḳh kī dastār kā rang
halqe āñkhoñ meñ paḌe murdanī muñh par chhā.e
nazar aatā nahīñ achchhā tire bīmār kā rang
tum dikhā do jo zarā āriz-e-gulgūñ kī bahār
to badal jaa.e abhī chehra-e-bīmār kā rang
araq-e-sharm-e-gunah ashk-e-nadāmat se 'shahīr'
saaf ho jaatā hai sab rū-e-siyahkār kā rang
nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang
zulmat-e-gor se bad-tar hai shab-e-tar ka rang
uD gaya zoaf-e-maraz se ruKH-e-bimar ka rang
de do thoDa sa tum apne gul-e-ruKHsar ka rang
hashr mein rahmat-e-dawar ne jo nazren Dalin
ho gaya surKH wahin ru-e-gunahgar ka rang
fasl-e-mai aane do phir hai ye hamara zimma
ho gulabi na agar shaiKH ki dastar ka rang
halqe aankhon mein paDe murdani munh par chhae
nazar aata nahin achchha tere bimar ka rang
tum dikha do jo zara aariz-e-gulgun ki bahaar
to badal jae abhi chehra-e-bimar ka rang
araq-e-sharm-e-gunah ashk-e-nadamat se 'shahir'
saf ho jata hai sab ru-e-siyahkar ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.