nazar bacha ke nazar se guzar gaya wo shaKHs
nazar bachā ke nazar se guzar gayā vo shaḳhs
mire vajūd meñ lekin utar gayā vo shaḳhs
jo zindagī kī alāmat thā ik zamāne se
sunā hai aaj ḳhud apne meñ mar gayā vo shaḳhs
kahīñ bhī kam na huā us kā dard-e-tanhā.ī
samundaroñ se bhī pyāsā guzar gayā vo shaḳhs
na jaane kab se sañbhāle hue thā jo ḳhud ko
na jaane aaj ye kaise bikhar gayā vo shaḳhs
tulūa-e-dard huā āftāb-e-nau kī tarah
shab-e-alam kī fazā meñ nikhar gayā vo shaḳhs
sajā.e ashk zamāne ke apnī āñkhoñ meñ
magar ḳhud apne tabassum se Dar gayā vo shaḳhs
pukārtī thī use be-charāġh rāhguzar
tamām karke jab apnā safar gayā vo shaḳhs
har ek chehra hai be-chehragī kā ā.īna
abhī jo 'badr' yahāñ thā kidhar gayā vo shaḳhs
nazar bacha ke nazar se guzar gaya wo shaKHs
mere wajud mein lekin utar gaya wo shaKHs
jo zindagi ki alamat tha ek zamane se
suna hai aaj KHud apne mein mar gaya wo shaKHs
kahin bhi kam na hua us ka dard-e-tanhai
samundaron se bhi pyasa guzar gaya wo shaKHs
na jaane kab se sanbhaale hue tha jo KHud ko
na jaane aaj ye kaise bikhar gaya wo shaKHs
tulua-e-dard hua aaftab-e-nau ki tarah
shab-e-alam ki faza mein nikhar gaya wo shaKHs
sajae ashk zamane ke apni aankhon mein
magar KHud apne tabassum se Dar gaya wo shaKHs
pukarti thi use be-charagh rahguzar
tamam karke jab apna safar gaya wo shaKHs
har ek chehra hai be-chehragi ka aaina
abhi jo 'badr' yahan tha kidhar gaya wo shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.