nazar ban kar tajalli jalwa-gar hai
nazar ban kar tajallī jalva-gar hai
jahāñ be-sāḳhta sajde meñ sar hai
ye kis se khel ai dil kuchh ḳhabar hai
nazar hai ye hasīnoñ kī nazar hai
vo aate haiñ to aa.eñ un kā ghar hai
zahe-taqdīr kyā achchhī ḳhabar hai
kisī kā har-nafas dil meñ guzar hai
magar āñkhoñ ko kyā is kī ḳhabar hai
zarā bhī sah nahīñ sakte jise tum
vo kaifiyyat hamārī umr bhar hai
phir aage kyā huā saaqī hī jaane
nazar mujh par paḌī itnī ḳhabar hai
qayāmat meñ nishānī zindagī kī
merī tar-dāmanī hai chashm-e-tar hai
vo kyā jaane kisī ke dil kī hālat
jo apne haal hī se be-ḳhabar hai
qadam uThte nahīñ dil baiThtā hai
ḳhudā jaane ye kis kī rahguzar hai
vo gesū khol kar aa.e chaman meñ
sabā laa.ī hai aur uḌtī ḳhabar hai
judā haiñ ai 'zakī' vo jiine vaale
magar jiine kā ilzām apne sar hai
nazar ban kar tajalli jalwa-gar hai
jahan be-saKHta sajde mein sar hai
ye kis se khel ai dil kuchh KHabar hai
nazar hai ye hasinon ki nazar hai
wo aate hain to aaen un ka ghar hai
zahe-taqdir kya achchhi KHabar hai
kisi ka har-nafas dil mein guzar hai
magar aankhon ko kya is ki KHabar hai
zara bhi sah nahin sakte jise tum
wo kaifiyyat hamari umr bhar hai
phir aage kya hua saqi hi jaane
nazar mujh par paDi itni KHabar hai
qayamat mein nishani zindagi ki
meri tar-damani hai chashm-e-tar hai
wo kya jaane kisi ke dil ki haalat
jo apne haal hi se be-KHabar hai
qadam uThte nahin dil baiThta hai
KHuda jaane ye kis ki rahguzar hai
wo gesu khol kar aae chaman mein
saba lai hai aur uDti KHabar hai
juda hain ai 'zaki' wo jine wale
magar jine ka ilzam apne sar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.