nazar-fareb nazara abhi nigah mein hai
nazar-fareb nazāra abhī nigāh meñ hai
ki koī ḳhvāb-numā jism merī raah meñ hai
tamām 'umr kī aahoñ kā hai dhuāñ jis meñ
vo ek ātishīñ lamha dil-e-tabāh meñ hai
vahī hai aaj bhī ehsās be-amāñ huuñ maiñ
mirā vajūd agarche tirī panāh meñ hai
har ek samt se patthar baras rahe haiñ magar
tumhārā dast-e-karam bhī mirī nigāh meñ hai
vahī hai aaj bhī kaifiyyat-e-pashemānī
na jaane kaun sā jazba mire gunāh meñ hai
jalā na de kahīñ duniyā ko ḳhauf hai 'māhir'
vo ek sho'la jo kab se mirī karāh meñ hai
nazar-fareb nazara abhi nigah mein hai
ki koi KHwab-numa jism meri rah mein hai
tamam 'umr ki aahon ka hai dhuan jis mein
wo ek aatishin lamha dil-e-tabah mein hai
wahi hai aaj bhi ehsas be-aman hun main
mera wajud agarche teri panah mein hai
har ek samt se patthar baras rahe hain magar
tumhaara dast-e-karam bhi meri nigah mein hai
wahi hai aaj bhi kaifiyyat-e-pashemani
na jaane kaun sa jazba mere gunah mein hai
jala na de kahin duniya ko KHauf hai 'mahir'
wo ek sho'la jo kab se meri karah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.