nazar hum par hamesha jo ba-sad-tashkik rakhte hain

nazar hum par hamesha jo ba-sad-tashkik rakhte hain
Hosh Nomani Rampuri
MORE BYHosh Nomani Rampuri
nazar ham par hamesha jo ba-sad-tashkīk rakhte haiñ
diloñ meñ ham unheñ bhī lā.iq-e-taz.hīk rakhte haiñ
buzurgoñ kī tarah hālāt par is daur ke bachche
zabāñ se kuchh nahīñ kahte nazar bārīk rakhte haiñ
unhīñ ke parchamoñ se fat.h ne aThkheliyāñ kī haiñ
jo apnī zindagī ko maut se nazdīk rakhte haiñ
sar-e-majlis qabāle sūrajoñ ke bāñTne vaale
ujālā zehn meñ rakhte haiñ dil tārīk rakhte haiñ
vo āñkheñ hoñ ki dil ho dast-o-pā ho garmī-e-ḳhūñ ho
ham in sab ko samajh kar tere dar kī bhiik rakhte haiñ
sabhī kā pyaar hāsil hai to bas is kā sabab ye hai
ki ham ahbāb meñ apnā ta'alluq Thiik rakhte haiñ
chalo ai 'hosh' ye pūchheñge kūcha-gard qaa.id se
siyāsat mashġhala hai yā koī tahrīk rakhte haiñ
nazar hum par hamesha jo ba-sad-tashkik rakhte hain
dilon mein hum unhen bhi laiq-e-tazhik rakhte hain
buzurgon ki tarah haalat par is daur ke bachche
zaban se kuchh nahin kahte nazar barik rakhte hain
unhin ke parchamon se fath ne aThkheliyan ki hain
jo apni zindagi ko maut se nazdik rakhte hain
sar-e-majlis qabaale surajon ke banTne wale
ujala zehn mein rakhte hain dil tarik rakhte hain
wo aankhen hon ki dil ho dast-o-pa ho garmi-e-KHun ho
hum in sab ko samajh kar tere dar ki bhik rakhte hain
sabhi ka pyar hasil hai to bas is ka sabab ye hai
ki hum ahbab mein apna ta'alluq Thik rakhte hain
chalo ai 'hosh' ye puchhenge kucha-gard qaid se
siyasat mashghala hai ya koi tahrik rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.