nazar hi jabki teri hum pe lutf ki na rahi
nazar hī jabki tirī ham pe lutf kī na rahī
to zindagī kā hai kyā zindagī rahī na rahī
kalī kalī hī rahī aur na phuul phuul rahā
ki ab bahār meñ vo rūh-e-tāzgī na rahī
hamāre ishq ko le kar ulajh gayā nāseh
jab us ke paas koī hujjat-e-qavī na rahī
jabīn-e-shauq hai ādāb-e-ishq se āgāh
isī liye ye dar-e-ġhair par kabhī na rahī
shahīd-e-rasm-e-vafā ko to tum ne dekh liyā
ab aur baat koī bahr-e-āshiqī na rahī
vo rashk-e-sham.a jo mahfil se uTh gayā 'najmī'
phir is ke baad charāġhoñ meñ raushnī na rahī
nazar hi jabki teri hum pe lutf ki na rahi
to zindagi ka hai kya zindagi rahi na rahi
kali kali hi rahi aur na phul phul raha
ki ab bahaar mein wo ruh-e-tazgi na rahi
hamare ishq ko le kar ulajh gaya naseh
jab us ke pas koi hujjat-e-qawi na rahi
jabin-e-shauq hai aadab-e-ishq se aagah
isi liye ye dar-e-ghair par kabhi na rahi
shahid-e-rasm-e-wafa ko to tum ne dekh liya
ab aur baat koi bahr-e-ashiqi na rahi
wo rashk-e-shama jo mahfil se uTh gaya 'najmi'
phir is ke baad charaghon mein raushni na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.