nazar ek saya-e-abr-e-bala par jam gai hai
nazar ik saya-e-abr-e-balā par jam ga.ī hai
ye kālakh dil se utrī hai ghaTā par jam ga.ī hai
maiñ har but ko harārat kī kashish batlā rahā huuñ
ajab ik barf mere devtā par jam ga.ī hai
zarūr aglī ruteñ ab rāsta bhaTkeñgī is se
ye jo kuchh ret mere naqsh-e-pā par jam ga.ī hai
badan par naqsh rah jaate haiñ aur dil meñ nadāmat
kisī lamhe kī ujlat dast-o-pā par jam ga.ī hai
hamāre sar to āḳhir ḳhaak hī hone the ik din
ye kaisī raushnī teġh-e-jafā par jam ga.ī hai
chhupānā chāhtā thā maiñ use sheroñ meñ apne
ab ek aalam kī aañkh us bevafā par jam ga.ī hai
hamāre paañv meñ chakkar hai vo bhī chāñd kā hai
sitāroñ kī thakan us kī ridā par jam ga.ī hai
nazar ek saya-e-abr-e-bala par jam gai hai
ye kalakh dil se utri hai ghaTa par jam gai hai
main har but ko hararat ki kashish batla raha hun
ajab ek barf mere dewta par jam gai hai
zarur agli ruten ab rasta bhaTkengi is se
ye jo kuchh ret mere naqsh-e-pa par jam gai hai
badan par naqsh rah jate hain aur dil mein nadamat
kisi lamhe ki ujlat dast-o-pa par jam gai hai
hamare sar to aaKHir KHak hi hone the ek din
ye kaisi raushni tegh-e-jafa par jam gai hai
chhupana chahta tha main use sheron mein apne
ab ek aalam ki aankh us bewafa par jam gai hai
hamare panw mein chakkar hai wo bhi chand ka hai
sitaron ki thakan us ki rida par jam gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.