nazar jhukao aur apni KHata talash karo
nazar jhukāo aur apnī ḳhatā talāsh karo
phir is ke baa'd koī pārsā talāsh karo
badan ke zaḳhm kā ab indimāl mumkin hai
jo zaḳhm-e-rūh ko bhar de davā talāsh karo
talāq dī ga.ī jis ko ye aisī duniyā hai
ye bevafā hai na is meñ vafā talāsh karo
adā-e-shukr hai lāzim ḳhudā mile to sahī
ḳhudā kā vāsta bando ḳhudā talāsh karo
taḌap ho aisī ki haft āsmān khul jaa.eñ
jo sīdhī arsh pe pahuñche du'ā talāsh karo
har ek samt hai chīḳh-o-pukār āh-o-bukā
sukūñ ke saaz meñ lipTī navā talāsh karo
hamāre sar pe musallat haiñ kyoñ bhalā zālim
sab apne aap meñ pahle ḳhatā talāsh karo
nazar jhukao aur apni KHata talash karo
phir is ke ba'd koi parsa talash karo
badan ke zaKHm ka ab indimal mumkin hai
jo zaKHm-e-ruh ko bhar de dawa talash karo
talaq di gai jis ko ye aisi duniya hai
ye bewafa hai na is mein wafa talash karo
ada-e-shukr hai lazim KHuda mile to sahi
KHuda ka wasta bando KHuda talash karo
taDap ho aisi ki haft aasman khul jaen
jo sidhi arsh pe pahunche du'a talash karo
har ek samt hai chiKH-o-pukar aah-o-buka
sukun ke saz mein lipTi nawa talash karo
hamare sar pe musallat hain kyon bhala zalim
sab apne aap mein pahle KHata talash karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.