nazar jis waqt bhi un se mili hai
nazar jis vaqt bhī un se milī hai
'ajab mastī kā 'ālam de ga.ī hai
sukūn-e-dil kī ho koī to sūrat
ġham-e-daurāñ vabāl-e-zindagī hai
nigāheñ tishna paimāne haiñ ḳhālī
ye maiḳhāne meñ kaisī bebasī hai
mayassar ho agar bedārī-e-dil
to har zarre meñ shān-e-dilbarī hai
samajhtā jā rahā huuñ ġham kī 'azmat
yahī ab tarjumān-e-zindagī hai
maiñ apnī dhun meñ aage baḌh gayā thā
mujhe manzil ne ḳhud āvāz dī hai
na ghabrā raat kī mahrūmiyoñ se
inhīñ tārīkiyoñ meñ raushnī hai
ise arbāb-e-mai-ḳhāna na bhūleñ
ki 'maikash' mahram-e-bāda-kashī hai
nazar jis waqt bhi un se mili hai
'ajab masti ka 'alam de gai hai
sukun-e-dil ki ho koi to surat
gham-e-dauran wabaal-e-zindagi hai
nigahen tishna paimane hain KHali
ye maiKHane mein kaisi bebasi hai
mayassar ho agar bedari-e-dil
to har zarre mein shan-e-dilbari hai
samajhta ja raha hun gham ki 'azmat
yahi ab tarjuman-e-zindagi hai
main apni dhun mein aage baDh gaya tha
mujhe manzil ne KHud aawaz di hai
na ghabra raat ki mahrumiyon se
inhin tarikiyon mein raushni hai
ise arbab-e-mai-KHana na bhulen
ki 'maikash' mahram-e-baada-kashi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.