nazar jo aate hain auron ko KHasta-haal bahut
nazar jo aate hain auron ko KHasta-haal bahut
Naushad Ahmad Kareemi
MORE BYNaushad Ahmad Kareemi
nazar jo aate haiñ auroñ ko ḳhasta-hāl bahut
vahī to shahr meñ haiñ sāhab-e-kamāl bahut
vo jin kī fikr-o-nazar ke haiñ dā.ere mahdūd
har ek baat pe karte haiñ vo savāl bahut
ye tīrgī-e-shab-e-vasl mujh se kahtī hai
charāġh-e-hijr ke bujhne kā hai malāl bahut
dar-e-hayāt khulegā kabhī to mere liye
isī umiid pe guzre haiñ māh-o-sāl bahut
mire zavāl meñ pinhāñ uruuj hai terā
tujhe uruuj mubārak mujhe zavāl bahut
baḌe-baḌoñ kī bhī dastār girne vaalī hai
havā-e-shahr-e-havas meñ hai ishti.āl bahut
tamām-shahr se 'naushād' dushmanī hai jise
vo shaḳhs rakhtā hai har-pal mirā ḳhayāl bahut
nazar jo aate hain auron ko KHasta-haal bahut
wahi to shahr mein hain sahab-e-kamal bahut
wo jin ki fikr-o-nazar ke hain daere mahdud
har ek baat pe karte hain wo sawal bahut
ye tirgi-e-shab-e-wasl mujh se kahti hai
charagh-e-hijr ke bujhne ka hai malal bahut
dar-e-hayat khulega kabhi to mere liye
isi umid pe guzre hain mah-o-sal bahut
mere zawal mein pinhan uruj hai tera
tujhe uruj mubarak mujhe zawal bahut
baDe-baDon ki bhi dastar girne wali hai
hawa-e-shahr-e-hawas mein hai ishtial bahut
tamam-shahr se 'naushad' dushmani hai jise
wo shaKHs rakhta hai har-pal mera KHayal bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.