nazar ke samne guzre hue zamane hain
nazar ke sāmne guzre hue zamāne haiñ
na.ī ruteñ haiñ magar phuul sab purāne haiñ
tumhāre saath Thahar jā.ūñ is jagah kaise
mujhe to aur ka.ī rāste banāne haiñ
jo rishte Tuut ga.e un ko bhī nibhānā hai
hameñ to sūkhe hue phuul bhī sajāne haiñ
faqīr kab se khaḌā hai yahī batāne ko
khañDar meñ dafn abhī aur bhī ḳhazāne haiñ
kahāñ se laa.eñ vo dukh dard bāñTne vaale
yahāñ to chāroñ taraf sirf kār-ḳhāne haiñ
nazar ke samne guzre hue zamane hain
nai ruten hain magar phul sab purane hain
tumhaare sath Thahar jaun is jagah kaise
mujhe to aur kai raste banane hain
jo rishte Tut gae un ko bhi nibhana hai
hamein to sukhe hue phul bhi sajaane hain
faqir kab se khaDa hai yahi batane ko
khanDar mein dafn abhi aur bhi KHazane hain
kahan se laen wo dukh dard banTne wale
yahan to chaaron taraf sirf kar-KHane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.