nazar ke tir se dil ka shikar karte hain
nazar ke tiir se dil kā shikār karte haiñ
ham is jahāñ meñ yahī kārobār karte haiñ
tumhārī zulf kī ḳhushbū kā tazkira kar ke
fazā-e-vaqt ko ham mushk-bār karte haiñ
hamāre shahr se ruḳhsat hue ho jis din se
tumhāre aane kā ham intizār karte haiñ
daġhā fareb kā ḳhadsha nahīñ rahe ham ko
yahī to soch ke bachchoñ se pyaar karte haiñ
purānī rasmoñ kī zanjīr toḌ kar ab ham
nayā usuul koī iḳhtiyār karte haiñ
shumār kar na sake koī shaḳhs duniyā meñ
ḳhatā.eñ is liye vo be-shumār karte haiñ
ġhamoñ kī bhiiḌ se bāhar nikal ke ai 'tal.at'
fazā-e-qalb ko ham ḳhush-gavār karte haiñ
nazar ke tir se dil ka shikar karte hain
hum is jahan mein yahi karobar karte hain
tumhaari zulf ki KHushbu ka tazkira kar ke
faza-e-waqt ko hum mushk-bar karte hain
hamare shahr se ruKHsat hue ho jis din se
tumhaare aane ka hum intizar karte hain
dagha fareb ka KHadsha nahin rahe hum ko
yahi to soch ke bachchon se pyar karte hain
purani rasmon ki zanjir toD kar ab hum
naya usul koi iKHtiyar karte hain
shumar kar na sake koi shaKHs duniya mein
KHataen is liye wo be-shumar karte hain
ghamon ki bhiD se bahar nikal ke ai 'talat'
faza-e-qalb ko hum KHush-gawar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.