nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain
nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain
Khaleel Farhat Karanjavi
MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi
nazar kī ruuh kī dil kī sa.ūbateñ bhī ga.iiñ
gayā shabāb to vo saarī uljhaneñ bhī ga.iiñ
ga.ī javānī to aa.ī shu.ūr kī daulat
qadam qadam pe zamāne se ranjisheñ bhī ga.iiñ
shab-e-visāl kā armāñ na fikr-e-shām-e-alam
vo kārobār-e-junūñ kī navāzisheñ bhī ga.iiñ
safed baal hue tāñk-jhāñk meñ haa.il
kahāñ kā shauq-e-nazāra basārteñ bhī ga.iiñ
junūn-e-ishq bhī ruḳhsat huā shabāb ke saath
vo ratjagoñ kī purānī rivāyateñ bhī ga.iiñ
gunāh hashr meñ Thahrī gunāh kī hasrat
gunāh bhī na kiye aur jannateñ bhī ga.iiñ
ḳhayāl-e-gesū-e-jānāñ safed riish meñ gum
vo chashm-o-lab ke tasavvur kī lazzateñ bhī ga.iiñ
butoñ kī chaah ne kāfir banā diyā thā hameñ
ḳhudā kā shukr hai 'farhat' vo ādateñ bhī ga.iiñ
nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain
gaya shabab to wo sari uljhanen bhi gain
gai jawani to aai shuur ki daulat
qadam qadam pe zamane se ranjishen bhi gain
shab-e-visal ka arman na fikr-e-sham-e-alam
wo karobar-e-junun ki nawazishen bhi gain
safed baal hue tank-jhank mein hail
kahan ka shauq-e-nazara basarten bhi gain
junun-e-ishq bhi ruKHsat hua shabab ke sath
wo ratjagon ki purani riwayaten bhi gain
gunah hashr mein Thahri gunah ki hasrat
gunah bhi na kiye aur jannaten bhi gain
KHayal-e-gesu-e-jaanan safed rish mein gum
wo chashm-o-lab ke tasawwur ki lazzaten bhi gain
buton ki chah ne kafir bana diya tha hamein
KHuda ka shukr hai 'farhat' wo aadaten bhi gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.