Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar kisi ki nazar se nahin ulajhti thi

Mahmood Shaam

nazar kisi ki nazar se nahin ulajhti thi

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    nazar kisī nazar se nahīñ ulajhtī thī

    vo din bhī the ki yūñhī zindagī guzartī thī

    sitāre apne liye ḳhvāhishoñ manzil the

    hasīn raat hameñ chāñdnī pilātī thī

    rahe the apnī havāoñ meñ ek umr magar

    bikhar paḌe to har ik gaam apnī hastī thī

    yahī bahut thā ki kuchh log aa ke kahte the

    vo merā zikr bahut muḳhlisāna kartī thī

    nazar meñ pyaar bhī thā aur takallufāt bhī the

    kahā kareñge kabhī ham ajiib laḌkī thī

    ḳhamosh rahtī thī gahre samundaroñ tarah

    vo āñkheñ jin se nirī shā.irī bikhartī thī

    use mile to phir is baat surāġh milā

    hameñ ye zindagī kyuuñ itnī pyārī lagtī thī

    na jaane kitne safhoñ pe dil bikherā magar

    na kah sake to vo ik baat jo kahnī thī

    nazar kisi ki nazar se nahin ulajhti thi

    wo din bhi the ki yunhi zindagi guzarti thi

    sitare apne liye KHwahishon ki manzil the

    hasin raat hamein chandni pilati thi

    rahe the apni hawaon mein ek umr magar

    bikhar paDe to har ek gam apni hasti thi

    yahi bahut tha ki kuchh log aa ke kahte the

    wo mera zikr bahut muKHlisana karti thi

    nazar mein pyar bhi tha aur takallufat bhi the

    kaha karenge kabhi hum ajib laDki thi

    KHamosh rahti thi gahre samundaron ki tarah

    wo aankhen jin se niri shairi bikharti thi

    use mile to phir is baat ka suragh mila

    hamein ye zindagi kyun itni pyari lagti thi

    na jaane kitne hi safhon pe dil bikhera magar

    na kah sake to wo ek baat hi jo kahni thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now