nazar ko ishq bhi aisi safai deta hai
nazar ko 'ishq bhī aisī safā.ī detā hai
ki āsmāñ se pare bhī dikhā.ī detā hai
ḳhudā ne rakkhā hai jis nek kaam kā jo ajr
binā hisāb kiye paa.ī paa.ī detā hai
ḳhudā ke baa'd bharosa kare jo ḳhud pe use
ḳhudā bhī himmat-e-zor-āzmā.ī detā hai
ḳhalā meñ tairtī duniyā ye be-sahārā zamīñ
'ajīb sā ye karishma dikhā.ī detā hai
hai phir salīb kī zad par hilāl kā parcham
jahān-e-ummat-e-mursal duhā.ī detā hai
sharīk kartā hai jo lā-sharīk meñ ai 'hosh'
vo ḳhud ko donoñ jahāñ kī burā.ī detā hai
nazar ko 'ishq bhi aisi safai deta hai
ki aasman se pare bhi dikhai deta hai
KHuda ne rakkha hai jis nek kaam ka jo ajr
bina hisab kiye pai pai deta hai
KHuda ke ba'd bharosa kare jo KHud pe use
KHuda bhi himmat-e-zor-azmai deta hai
KHala mein tairti duniya ye be-sahaara zamin
'ajib sa ye karishma dikhai deta hai
hai phir salib ki zad par hilal ka parcham
jahan-e-ummat-e-mursal duhai deta hai
sharik karta hai jo la-sharik mein ai 'hosh'
wo KHud ko donon jahan ki burai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.