nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai
nazar ko phir koī chehra dikhāyā jā rahā hai
ye tum ḳhud ho ki mujh ko āzmāyā jā rahā hai
bahut āsūdgī se roz-o-shab kaTne lage haiñ
mujhe mālūm hai mujh ko gañvāyā jā rahā hai
sar-e-mizhgāñ bagūle aa ke vāpas jā rahe haiñ
ajab tūfān siine se uThāyā jā rahā hai
mirā ġham hai agar kuchh muḳhtalif to is binā par
mire ġham ko hañsī meñ kyuuñ uḌāyā jā rahā hai
badan kis taur shāmil thā mire kār-e-junūñ meñ
mire dhoke meñ us ko kyuuñ miTāyā jā rahā hai
vo dīvār-e-anā jis ne mujhe tanhā kiyā thā
usī dīvār ko mujh meñ girāyā jā rahā hai
mirī ḳhushiyoñ meñ terī is ḳhushī ko kyā kahūñ maiñ
charāġh-e-ārzū tujh ko bujhāyā jā rahā hai
ḳhirad kī sādgī dekho ki zāhir halatoñ se
mirī vahshat kā andāza lagāyā jā rahā hai
abhī ai bād-e-vahshat is taraf kā ruḳh na karnā
yahāñ mujh ko bikharne se bachāyā jā rahā hai
nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai
ye tum KHud ho ki mujh ko aazmaya ja raha hai
bahut aasudgi se roz-o-shab kaTne lage hain
mujhe malum hai mujh ko ganwaya ja raha hai
sar-e-mizhgan bagule aa ke wapas ja rahe hain
ajab tufan sine se uThaya ja raha hai
mera gham hai agar kuchh muKHtalif to is bina par
mere gham ko hansi mein kyun uDaya ja raha hai
badan kis taur shamil tha mere kar-e-junun mein
mere dhoke mein us ko kyun miTaya ja raha hai
wo diwar-e-ana jis ne mujhe tanha kiya tha
usi diwar ko mujh mein giraya ja raha hai
meri KHushiyon mein teri is KHushi ko kya kahun main
charagh-e-arzu tujh ko bujhaya ja raha hai
KHirad ki sadgi dekho ki zahir halaton se
meri wahshat ka andaza lagaya ja raha hai
abhi ai baad-e-wahshat is taraf ka ruKH na karna
yahan mujh ko bikharne se bachaya ja raha hai
- Book : Takrar-e-saa.at (Pg. 74)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.