nazar ko tir kar ke raushni ko dekhne ka
nazar ko tiir kar ke raushnī ko dekhne kā
salīqa hai hameñ bhī zindagī ko dekhne kā
kisī jalte hue lamhe pe apne hoñT rakh do
agar hai shauq jāmid ḳhāmushī ko dekhne kā
samā.at meñ khanaktī raushnī se ho gayā hai
do-bālā lutf miTTī kī namī ko dekhne kā
na jaane lauT kar kab aa.egā mausam ḳhajista
tirī āñkhoñ kī shā.ista hañsī ko dekhne kā
sunā hai shauq thā un ko hunar aatā nahīñ thā
sunahre zehn kī vāraftagī ko dekhne kā
yaqīñ aatā nahīñ lekin milā thā ek mauqa
shagufta shahr kī be-manzarī ko dekhne kā
baḌā armān thā 'sājid' tumheñ kyā Dar ga.e kyā
shab-e-tābāñ havā kī ḳhud-kushī ko dekhne kā
nazar ko tir kar ke raushni ko dekhne ka
saliqa hai hamein bhi zindagi ko dekhne ka
kisi jalte hue lamhe pe apne honT rakh do
agar hai shauq jamid KHamushi ko dekhne ka
samaat mein khanakti raushni se ho gaya hai
do-baala lutf miTTi ki nami ko dekhne ka
na jaane lauT kar kab aaega mausam KHajista
teri aankhon ki shaista hansi ko dekhne ka
suna hai shauq tha un ko hunar aata nahin tha
sunahre zehn ki waraftagi ko dekhne ka
yaqin aata nahin lekin mila tha ek mauqa
shagufta shahr ki be-manzari ko dekhne ka
baDa arman tha 'sajid' tumhein kya Dar gae kya
shab-e-taban hawa ki KHud-kushi ko dekhne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.