nazar ko waqf-e-jamal kar ke na zikr kar lutf-e-zindagi ka
nazar ko vaqf-e-jamāl kar ke na zikr kar lutf-e-zindagī kā
husūl-e-maqsad jahāñ meñ mushkil yahāñ huā kaun kab kisī kā
usī kī ab tak navā-e-rangīñ banī huī hai hayāt-e-insāñ
sukūt-e-paiham ke baad tū ne jo saaz chheḌā thā zindagī kā
junūn-e-fitrat bhī pal rahā thā nuqūsh-e-hasrat ubhar rahe the
naved-e-ulfat ko sun ke chauñke karam thā shāyad ye be-ḳhudī kā
kabhī na āñkhoñ se ashk nikle kabhī na shikva zabāñ pe aaya
yaqīn hai tum taḌap uThoge kahūñgā jab haal bebasī kā
usī ke sunñe kī hai tamanna 'vafā' usī kī mujhe havas hai
navā-e-ulfat ke saath us ne jo saaz chheḌā thā zindagī kā
nazar ko waqf-e-jamal kar ke na zikr kar lutf-e-zindagi ka
husul-e-maqsad jahan mein mushkil yahan hua kaun kab kisi ka
usi ki ab tak nawa-e-rangin bani hui hai hayat-e-insan
sukut-e-paiham ke baad tu ne jo saz chheDa tha zindagi ka
junun-e-fitrat bhi pal raha tha nuqush-e-hasrat ubhar rahe the
nawed-e-ulfat ko sun ke chaunke karam tha shayad ye be-KHudi ka
kabhi na aankhon se ashk nikle kabhi na shikwa zaban pe aaya
yaqin hai tum taDap uThoge kahunga jab haal bebasi ka
usi ke sunne ki hai tamanna 'wafa' usi ki mujhe hawas hai
nawa-e-ulfat ke sath us ne jo saz chheDa tha zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.