nazar ko zaKHmi labon ko figar mat karna
nazar ko zaKHmi labon ko figar mat karna
Saeed Nomani Muradabadi
MORE BYSaeed Nomani Muradabadi
nazar ko zaḳhmī laboñ ko figār mat karnā
guloñ kī chaah meñ kāñToñ se pyaar mat karnā
jo chupke chupke adāvat kī samt jaatā hai
vo rāsta kabhī tum iḳhtiyār mat karnā
jo log chaḌhtī huī dhuup ke pujārī haiñ
hamārā aisoñ meñ hargiz shumār mat karnā
judā.iyoñ kī rutoñ meñ milan kā mausam hai
ye tum na likhnā mirā intizār mat karnā
siyah-nasībī jo aa.e kabhī ḳhudā na kare
tū apne saa.e pe bhī e.atibār mat karnā
nazar ko zaKHmi labon ko figar mat karna
gulon ki chah mein kanTon se pyar mat karna
jo chupke chupke adawat ki samt jata hai
wo rasta kabhi tum iKHtiyar mat karna
jo log chaDhti hui dhup ke pujari hain
hamara aison mein hargiz shumar mat karna
judaiyon ki ruton mein milan ka mausam hai
ye tum na likhna mera intizar mat karna
siyah-nasibi jo aae kabhi KHuda na kare
tu apne sae pe bhi eatibar mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.