nazar koi nahin aata hai mehrban mujhko
nazar koī nahīñ aatā hai mehrbāñ mujh ko
dayār-e-ġhair sā lagtā hai gulsitāñ mujh ko
mujhe to karnī hai ta.amīr-e-gulsitāñ phir se
agar sukūn se rahne de āsmāñ mujh ko
hazār baar zamāne ne karvaTeñ badlīñ
miTā sakī na kabhī gardish-e-jahāñ mujh ko
ajiib baat hai jo ham-safar haiñ sadiyoñ se
samajh rahe haiñ vahī gard-e-kārvāñ mujh ko
yahāñ na dost kisī kā na koī dushman hai
burā ho yaas kā le aa.ī hai kahāñ mujh ko
chhupā.e dost mirā āstīñ meñ ḳhanjar thā
na ho sakā kisī sūrat bhī ye gumāñ mujh ko
jo mere dard kā darmāñ 'nazīr' batlātā
milegā ab vo masīhā-nafas kahāñ mujh ko
nazar koi nahin aata hai mehrban mujh ko
dayar-e-ghair sa lagta hai gulsitan mujh ko
mujhe to karni hai tamir-e-gulsitan phir se
agar sukun se rahne de aasman mujh ko
hazar bar zamane ne karwaTen badlin
miTa saki na kabhi gardish-e-jahan mujh ko
ajib baat hai jo ham-safar hain sadiyon se
samajh rahe hain wahi gard-e-karwan mujh ko
yahan na dost kisi ka na koi dushman hai
bura ho yas ka le aai hai kahan mujh ko
chhupae dost mera aastin mein KHanjar tha
na ho saka kisi surat bhi ye guman mujh ko
jo mere dard ka darman 'nazir' batlata
milega ab wo masiha-nafas kahan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.